Janabe Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya…
Sardi Ka Mausam momin ke liye bahut ganimat hai. Raat lambi Hoti Hai to vah ismein Ibadat karta hai. iska din Chhota hota hai to vah Roza rakhta hai.
Raat lambi Hai isko apni nind se Chhota Na kar Aur din Roshan Hai isko Apne gunahon se tarkh Na kar.
Allah ne Jo kuchh tujhe Diya Hai is per kanaat kar aur Razi rahe. agar kanaat va Raza hasil Ho jaaye to iska ganimat Jaan aur Allah ka shukr Ada kar dusron Ke pass Jo Mal Hai uski Tama Na kar.
Zindagi mein har Amal Kiya ja sakta hai maut Ke baad Insan kuchh karne per Kadir nahin hoga. isliye Zindagi ko ganimat Jaan kar Jo kuchh karna hai kar le.
Kisi Ka Kitna umda makola hai.
Bachpan Khel mein guzara diya, Budhapa susti mein, Javani Masti mein Guzari, khuda Ki Ibadat kis waqt Karega.
