
1. Agar unke pass Khane ko na ho to khane ka intezaam Karen.
2. Isi tarah agar Kapde Na Ho to unke kapdo ka intezam karna.
3. Agar khidmat ki Zarurat ho to khidmat Karen ya Kam se kam khadim (Mulazim) dastiyab kare.
4. Agar bulae to fauran jawab de aur khidmat mein hazir ho jaye.
5. Inke Naam lekar na pukare kyun ke yah beadbi (adab na karna / adab ke khilaf) hai.
6. Inke piche chale aage ya Daye baye Na chale. In ke Piche chalna ahatraman (izzat dena) hai.
7. Jo apne liye pasand Karta hai wahi inke liye pasand Karen. Jo apne liye Bura samajhta hai. Inke liye bhi usko Bura jaane.
8. Inke liye dua Karen waliden Ke liye dua na karne se Zindagi tang hoti hai.
9. Agar koi Hukum de to fauran Amal Karen. Albatta kisi Gunah ke kaam Ka Hukum de to Amal na Karen.
10. Inke Sath narmi se baat Cheet Karen. Sakht Kalami/ lehje (Gusse se baat) bilkul na Karen…
